Wednesday 18 November 2009

silsila tuuta wafa ka to khud tamaam hua

..............................

silsila tuuta wafa ka to khud tamaam hua

meraa yaQeen bewafaaii kaa gulaam hua

ibtida e ulfat ke badle ye naseeb hua
mera kirdaar sar e aam yuN nilaam hua

mujhse bichra jo tu to mujhko bhula baitha hai
tujhe bhula duu , na mujhse ye ek kaam hua

mere habeeb tere iss Qadar huii maiN Qareeb
ho ke badnaam bhi hua to mera naam hua

baghair yaar bhi tanha na the , ye saya tha
mere khudaa ye teraa kaisaa intezaam hua

Diya yaQeen kaa bujhne laga jo unn ke bhii
bas apne rishte ka uss din se raam raam hua


5oct 09

thahar jao sanam haseeN raat baki hai



..................


thahar jao sanam haseeN raat baki hai

rasm-E-muhabbat ki saari baat baki hai

kar diya hai main ne chaahat ka izhaar
tere labooN se ab ye soughaat baki hai

shuru yeh silsila toh ussi roz huaa thaa
kahaa thaa jab tum ne iltifaat baki hai

sulagti hai raateiN meri, sulagte haiN din
Dilbar tere pyaar ki barsaat baki hai

guzar na jayeN kahin ye pal bekhudi ke
suna bhi do ulfat ki jo bisaat baki hai

jalti hai "Diya" tere ishQ ki aatish meiN
aur keh rahe ho tum , shuruwaat baki hai

9th nov 09

Gum tere ishQ kaa sine meN dabaa rakha hai

......................


Gum tere ishQ kaa sine meN dabaa rakha
hai

Makbara dil ko tere gum kaa banaa rakha hai

vo mere saaye sey bhi door rehna chahta hai
duaa meiN jis ke liye haath uthaa rakha hai

bewafai teri mashahoor zamaane meiN na ho
isiliye maiNe teraa naam wafaa rakha hai

laakh chahaa teri yaado'N ko bhulaau lekiN
teri deewaangi Ne chain churaa rakha hai

meri khusiyoN ki mukhtsar umar rakhi, ya rab
mukaddar tu ne mera sab se judaa rakha hai

khud ko andheroN ke saaye se bachane keliye
"Diya" umiid kaa seene meiN jalaa rakha hai


19th oct 09

Thursday 3 September 2009

kaha us ne mohabbat meiN aazmahish na kiya karo




kaha us ne mohabbat meiN aazmahish na kiya karo
kaha maine is se nibhane ki farmahish na kiya karo

kaha us ne dubaara mud kar tum na dekhna mujhko
kaha maine dekhe bina ab gawara nahi jeena mujhko

kaha us ne kitabon ke panne palat kar sochna kyoN
kaha maine sochti hun bin mere tum itna tanha kyoN

kaha us ne judai kaa pal bhi kitna duswaar hota hai
kaha maine jeevan ye fir bhi kis per nishaar hota hai

kaha us ne haatoN mein mehandi sajaa kar milna
kaha maine sar-e-aam chahat apni jata kar milna

kaha us ne wafaa ki umiid nahi e bewafaa tujh se
kaha maine bewafaa sahi nibhaungi wafaa tujh se

kaha us ne kab is begane ko kiska shahaara milega
kaha maine thaam le haath ye tujko kinaara milega

kaha us ne aakhoN ke saare ashQ tum bahaa kar sona
kaha maine meri yaadoN ke Diya tum bujhaa kar sona

02sep 09




Friday 21 August 2009

karam rab ka hai k duniya meiN meri us sey nisbat hai

MaiN banda-e-khuda hoo mujhko khuda se mohabbat hai
ajal mil jaaye raah e haQ pe bus itni si chaahat hai

teri Qudrat ki jitni bhi kareyi'n tareef wo kam hai
jahaa'N ki khoobsoorti faQat teri mahaarat hai

mohamad ka khuda hi dehar mai sajdey k laaiq hai
zameen o aasmaa'n bhi raat din mehw e ibaadat hai

wo jis ki aayato'n ka nooh ney naghma sunayaa hai
khuda ki shan e qudrat hai khudai ki wazaahat hai

mili paakizgi lafzo'n ko tere naam se moulaa
zikr e parwardigaar se hui rooh ki tahaarat hai

zarra e khaak hoo mahtaab ki tarha chamakta hoo
khudaaye buzrug o bartar ye sab teri inaayat hai

"DIYA" ko dey diya deta raha auQaat se barh kar
karam rab ka hai k duniya meiN meri us sey nisbat hai


ajal-mout,death

maharat-mahir,talent

wazaahat-define karna

aayaton-Quran ke lines

tahaarat-pak

parwardigaar-rab ,god ,khuda

buzrug-rutbe k liye use hua hai


२१/अगस्त 2009

Wednesday 19 August 2009

ishq tujh se kiya to kya paaya

........

ishq tujh se kiya to kya paaya
zillato'n ka raha mujh pe saaya

mai muntazir raha teri raah meN
too ne patthar ki tarha thukraaya

tera mujh se milan tha na mumkin
khud apne dil ko bara samjhaaya

mai ghani hoo mujhey kaisa gham hai
teri yaadein hai mera sarmaaya

kitni dilkash khuda ki qudrat hai
tum ko daikha to ye khyaal aaya

teri ranjish ko bhi khuda ki Qasam
apni qismat samajh ke apnaaya

teri tasveero ko in haatho se
mai ne khoo'n rotey huwey dafnaaya

jaane kyoN jeene ki tamannaa kii
ashQ meraa kabhee na tham paayaa

31 july2009

Thursday 6 August 2009

AansooN se tar ho meri nazar tum ko is se kya

........

AansooN se tar ho meri nazar tum ko is se kya
yaa toote mere Dil pe Qehar tum ko is se kya

tanhai mujhe das rahi hai saaNp ki tarah'N
furqat se mujhe lagta hai dar tum ko is se kya

roti hai shab ki be basi taqdeer se mil kar
gham khuwaa'N hai mere dukh ki sehar tum ko is se kya

Qisse hamarey jab se huwey aam zubaa'N par
tab sey udoowey jaa'N hai shehar tum ko is se kya

talwar ban ke yaadein barasti haiN tumhari
gar kat bhi gaya mera jigar tum ko is se kya

tum majma e aghyaar mai khushiyo k piyo jaam
maiN dukh ka pee raha hu zehar tum ko is se kya

tum zindagi ko dhoond rahe ho mere baghair
maiN jeete ji hoo khaak basar tum ko is se kya
-Diya

22june 09

tanhaa hai meraa Dil bayaaN kaise karoo

...

tanhaa hai meraa Dil bayaaN kaise karoo
tu mujhko bhulaa yeh gumaaN kaise karoo

tamaam shehar ki nazareiN hai meri chaukhat pe
maiN tere ishq ka elaan jaaN kaise karoo

zamaana pyar ki parwaaz ka dushman niklaa
hawayeiN tez hai unchi udaaN kaise karoo

toot ke Dil bikhar gayaa hai kaanch ki tarha
mai is toote hue ghar ko makaaN kaise karoo

tera ahsaan e mohabbat chukaaunga kaise
Qarz karna hai adaa meharbaaN kaise karoo

bad tere pareshani ne mujh ko ghair liaa
ab apni mushiklo'N ko mai aasaaN kaise karoo

hawaa k rukh pe "Diya" jal raha hai roz-o-shab
misaal ishQ hai meraa bayaaN kaise karoo

30 june 09

"khilwat se wasl tak ke tere intezaar meiN"

...

khilwat se wasl tak ke tere intezaar meiN
humne uthaaye luft se ghum tere pyaar meiN

paane ki aarzoo meiN kya khote rahe haiN hum
jana ye phool ne faQat lut ke bahaar meiN

raah e wafa meiN moR ek aisa bhi aa gaya
aata nahi Qaraar dil e beQaraar meiN

guzra vo waQt hum teri baahoN meiN Qaid the
dooba hua hai dil mera ab tak khumaar meiN

aata hai humko har jagah chehra tera nazar
soorat nahi hai doosrii jaise dayaar meiN

apna bana ke bhoolna na seekh paaye hum
warna nahi tha kya humaare ikhtiyaar meiN

kahna bhala bura khud hi ko roz roz hai
kahte nahi bura tumhe dil ke ghubaar meiN

kab ke nikaale jaa chuke dil se kisi ke hum
phir bhi Diya jale hai kyoN koocha e yaar meiN

01 jan 09

Kitni acchi hogi uski buraaiyaaN

..........

Kitni acchi hogi uski buraaiyaaN
dil dukhaana jiski hai achaaiyaaN

dosti ko kis tarha samjhey ga woh
jis ne seekhi hai faqat makkaariyaaN

apne gareebaa ko chaak pehley kar
phir too dusro'n ko dey ruswaaiyaaN

kya teri fitrat mai shamil hai yehi
nafrateiN dhokadhai chaalakiyaaN

ab jala seeney mai ulfat ka "DIYA"
chordey taareekiyaaN gehraaiyaaN

16 july 09

mujhko jis shakhs se mohabbat hai

..........

mujhko jis shakhs se mohabbat hai
wajood us ka ek Qayaamat hai

kia baataau mai us k baarey meN
saaf dil naik us ki seerat hai

dard meN muskura kay kehta hai
gham uthaanay ki hum ko aadat hai

bakhshay woh sharf e mulaqaat mujhe
mujh pay us shaks ki inaayat hai

na tamanna hai chaand taaron ki
mere dil ki wahi zaroorat hai

Qatal kar kay mujhi say kehta hai
bari zaalim teri yeh fitrat hai

uski chahat meN jee rahi hoo maiN
ye hi chaahat meri ibaadat hai

-Diya

13 july 09

Darr hai mujhko vo khafaa ho jaaye Na

...
Darr hai mujhko vo khafaa ho jaaye Na
bekhudi meN kuchh khataa ho jaaye Na

hey muthhi meiN jiski taQdeer meri
vo meharbaaN ho to kyaa ho jaaye Na

bhool kar bhi gar bhulade vo mujhe
zindagi meri sazaa ho jaaye Na

ashQ aankho'N se bahe soche k' vo
bholi surat pe fidaa ho jaaye Na

raah-e-ulfat meN aahistaa chal"Diya"
umr bhar yeh bad-duaa ho jaaye Na

24 july 09

sajde me sir jhukaane ko jii chaahataa hai

............

tuje apna banaane ko jii chaahataa hai
haal-e-Dil sunaane ko jii chaahataa hai

khus naseeb huu maiN kii tu mila mujhe
saath tera nibhaane ko jii chaahataa hai

chhut gayaa hai naata har dard se mera
ab too muskuraane ko jii chaahataa hai

uff baat baat pe teri chhedne ki ada per
jism-o-jaan lutaane ko jii chaahataa hai

teri ulfat meiN jo ghazal kahti huu maiN
woh tujhe sunaane ko jii chaahataa hai

teri ibaadat karoon maiN subah shaam
sajde me sir jhukaane ko jii chaahataa hai

khawabo ke saath nahi jeena hai Diya ko
sapne sach banaane ko jii chaahataa hai

11 june 09

vo mujhe masHoor karte haiN

..........

sahne ko ghum mujh ko sanam mazboor karte haiN
auroN se mil ke unn ko yooN masroor karte haiN


kaste haiN jo taane mirii jaanib bazaar meiN
ab sochti huN vo mujhe mashHoor karte haiN

meri nazar se dekhiye to tark e tallukaat
kuch had talak insaan ko maghroor karte haiN

ab to sitam ke bhi nahi Qaabil maiN dostoN
mere hi kuch apne mujhe mastoor karte haiN

karte nahi haiN baat bhi aa kar kareeb se
kuch log khud pe naaz yooN bharpoor karte haiN

daaman nahi choro DIYA akhlaakhiyaat kaa
ye Qaaide insaan ko mashkoor karte haiN

03 oct 08

"yeh duniyaa ki reet kitni niyaari babul"

Har koi nibhaaey yeh duniya daari babul
beti vidaa karne kii teri hai baari babul

Chhor ke chali jayegi beti maayka apna
sunehri yaadeiN bachpan ki saari babul

Rah jayenge pichhe apne khoon k rishte
yeh duniyaa ki reet kitni niyaari babul

Maa ke aanchal ki chaw jab naa milegi
khoob royegi tab teri raaj-dulaari babul

Saat feroN me banega rishta saat janam ka
fir paraaii ho jayegi beti tumhaari babul

Kaise jiyegi Maa judai beti ki seh kar
ye rasm padegi uspe bahot bhaari babul

Teri har yaad ko dil mein basa kar Diya
ho jayegi apne saajaN kii pyaari babul


15 april 09

ashQ kaa qatraa naa palko pe laaya kijiye

............

ashQ kaa qatraa naa palko pe laaya kijiye
raaz e dil ko soorat e siski chupaaya kijiye

raat ki dawat meN shamil aap ka iqraar tha
wadaa kar k aap yuN na bhool jaaya kijiye

gairo ki bato se kiu kartey ho is dil pe sitam
mujh ko rota daikh kar na muskraaya kijiye

shoq ko mahtaab aarzoo ko taara keh diya
yuN haqeeQat meN bhi mehw e khuwab aaya kijiye

hai adalat zulm ki mulzim ki saf mai ishQ hai
faislaa masoom sey dil kaa khudaaya kijiye

lamha lamha teri yaado ka Diya jaltaa raha
Noor ban ke mere seene meN samaaya kijiye

16 june 09

Rista

Jaise.............
chaand ka chaandni se
raag ka rageeni se
Suraj ka roshni se
machhali ka pani se
jameen ka aasmaan se
baadal ka barish se
Zindagi ka saanso se
aakhoN ka aansoo se
phool ka khusboo se
dil ka dhandkan se
sur ka sangeet se
shayar ka shayari se
samandar ka sahil se
bhakt ka bhagwan se
jeevan ka mrutyu se Ristaa hai...............
vaise hi tere mere bich
kabhi naa chutne wala
ek anokhaa "Ristaa" hai

09 june 09

Dard kii shamma raat bhar jali ho jaise

....

Dard kii shamma raat bhar jali ho jaise
Gham ki lau dil me thartharati rahi ho jaise

teri ashQ bhari aankheiN Keh rahii hai
umr e kotaah zamanoN meiN kati ho jaise

ek muddat se khamosh hai zubaan teri
jhoot ke honth meiN sachai chhupi ho jaise

patjhad meiN girte hue pattoN ki tarah
tere dil mei.N meri ulfat ki kami ho jaise

'aah' dam torti jaati hai teri har dharkan
koyi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise

udaas sham ki dahliz per sar jhukaa ker
dar e yaar per nigah terii thami ho jaise

mahekti hai yeh hawaa bhi kuchh aise
teri khusboo in fizaooN me ghuli ho jaise

apna hee sayaa dekh kar mehsush huaa
Zindagi bhar tu mere saath rahi ho jaise

dafan seeney meiN hai kai raaz "Diya"
aaj bhi har jazbaat per barf jami ho jaise

01 june 09

maiN bhoolne waaloN ki nishanii nahi rakhti

........

maiN dard ki yaadeiN vo puraanii nahi rakhti
apne zehan meiN koi kahaanii nahi rakhti

biite hue lamhoN ko bhulana hi munaasib
guzre hue kal ki maiN rawaanii nahi rakhti

aihsaan mere dil pe kyoN karta hai iss Qadar
laalach meiN kii achhayii bhi maanii nahi rakhti

kah jata hai kaajal mera ashQoN ki kahaani
ghum laakh ho aaNkhoN meiN maiN paanii nahi rakhti

tuu apne jhoothe waade tere saath le ke ja
maiN bhoolne waaloN ki nishanii nahi rakhti

mujh ko Diya kahte haiN maiN jal jal ke jeetee huN
roshan ye shab e ghum maiN zubaanii nahi rakhti

09 sep 08

Karz teri jafaa kaa main adaa kaise karun

.......

Karz teri jafaa kaa main adaa kaise karun
tu hi bataa tujhse main wafaa kaise karun

jab apnone hi lutaa hai jee bhar ke mujko
maiN gairoN se bhalaa gilaa kaise karun

tujh pe nisaar kiya thaa jism-o-jaan kabhi
ab teri barbaadi kii maiN duaa kaise karun

kahte hai sab tujhe bhulaana hii munaasib
apne hi seeney se Dil ko judaa kaise karun

akele chalne ki aadat na rahii "Diya" ko ab
safar zindagi ka tay tere binaa kaise karun

30 april 09

safar

Zindagi ka safar hai bas chalte jana hai
udasiyon ke lamho mein bhi muskurana hai
gham-e-hayat ne majboor kar diya hai hume
apne wajood samet kar ab sambhal jana hai

kis ka intezaar kare hum shaam ke baad...
saanj dhale to suraj ko bhi dhal jana hai
jiski ki thi justaju, na payaa meine use
ab kis ki arzoo mein youn jalte jana hai

Qismat ke lakeer ko bhala badlayega koun
chand khusi ke saath ab gham bhi pana hai
is kashmakas mein muje housla dena khudaa
ek anjaan safar mein bahot dur jana hai

24 april 09

Jab se chehre ajnabi apnoN meiN bhi dikhNe lage

........

Jab se chehre ajnabi apnoN meiN bhi dikhNe lage
gul humaare lab pe tab khilne se bhi darNe lage

apnii sachaaii se bhi jab saamnaa Na ho sake
aainoN se khauff khaate hum bhi tab milNe lage

zakhm rozana naye milne lage jab se hume
ahal-e-duniya ke naye rangoN meiN hum dhalNe lage

daastaaN e ghum kabhi humne sunaaii jab unhe
kis ko hai tera yakeeN ? kahte hue chalNe lage

dard ke saaye tale guzarii Diya itnii shabeiN
muskura kar ab naye har ghum se hum milNe lage

11 march 09

kya hua gar vo bewafa nikla

....

Bin aansooN ke mere
armaan ka jaNaza nikla
hazar tukde hua dil
ek katra khun Na nikla

Dulhansi sajke baithi thi
barbadi ke chauthe per
Qatl hue the saare khawab
lab se uff tak Na nikla

log hairaN rah gaye the
meri is adaa ko dekh kar
itNa sitam seh kar bhi
kaise yeh ziNdaa nikla

kyoN sikayat karoon uNki
kii vo wafa ka Qatil hai
pyar to sirf pyar hai Diya
kya hua gar vo bewafa nikla

20 march 09

Kabhi zid meiN hi teri ho gayi

....
Kabhi zid meiN hi teri ho gayi
Kabhi khud maiN tujh si ho gayi

Mujhe jis wafaa ki talaash thi
Kisi pehlu e gair ki ho gayi

Tujhe dil se apne bhula ke maiN
JahaN meiN akelii ho gayi

Tere pyaar ki khaatir sanam
maiN paraayi sabhi ki ho gayi

Teri yaad meiN ashQoN se ab
Surkh aaNKh ye meri ho gayi

Tu meri haQikat na ban saka
"Diya" khwaab meiN teri ho gayi

07 oct 08

usse milne ko aankheiN meri taras jati hai

.....

usse milne ko aankheiN meri taras jati hai
jiski yaadeiN shola ban ker baras jati hai
ajeeb haalat hai yeh mere bagair unke
rooh meri jism ko taanaa day jaati hai

dard Hijr kaa maiN kya bataau yaaroo
bin teer ke mere dil ko chalni ker jati hai
mehboob ki baat toh na puchhiye aap
uski berukhi mere chaiN lut leti hai

vo lamhaa chubhte hain tute kaanch ki tarah
"jab barish uske aansoo mere khidki per paint karti hai"
ek sawal uth ker dub jata hai zehan meiN....
kya yeh ishQ meri tarah usko bhi tabah karti hai...?

20july09

aaj aansooN se unko bhigoti hun

.....

kahne ko to vo pahli mulaqaat thi
darmiyaN khamosh mohabbat thi
mere khwaboN meN uska ulfat thi
magar vo shakhs is baat se anjaan tha

na hasil mujhe uski kurbat hui
na hi mohabbat bhari koi baat hui
main to youN sajde mein rahti thi
duaon meiN uski khusi mangti thi

jab waqt ne usse mujhse dur kiya
main tanha hui ,vo bhi tanha hua
vo rukshat hua tou mehsush hua
mano dil se dhadkan jaise juda hui

tasvuur meN akshar use sochti hun
shab o sehar khwab uska dekhti hun
vo palkeiN jo nazakat se uthti thi
aaj aansooN se unko bhigoti hun

01 aug 09

jhuki hui nazaroN ko tum nazaakat likh daina

jhuki hui nazaroN ko tum nazaakat likh daina
meri khamoshi ko daur e Qayaamat likh daina

rota hai jis ruswaayi pe dil zaar zaar aaj bhi
mere pyaar ki usse tum amaanat likh daina

dard ko bayaan karooN jab meiN muskurate hue
usi hansi ko tum khudaa ki inaayat likh daina

jis din aajayegi teri Qalam meiN rawaani
meri bewafai ko tum meri saraafat likh daina

raah chalte chalte yun chooth jaye saath toh
fariyaad mein tum meri sikaayat likh daina

30 july 09

mari khusi ke beh jaaye ashq in aankhooN se
tou in aadaooN ko tum meri aadat likh daina

gar mohabbat meiN ban gayi muzrim main teri
apne labon se tum meri zamaanat likh daina

tere ishq mein jal kar pighal rahi hai "Diya"
meri mohabbat ka naam tum ibaadat likh daina

khar se nahi muje phuloN se dar lagta hai

........

khar se nahi muje phuloN se dar lagta hai
beganasa mujhe ye shab-e-sehar lagta hai
kahiN jaltaa hai diya ,kahin jiya jalta hai
dard chup chup kar seene meiN palta hai

chaandni raat mein sard hawa ki jhonke
teri khusboo mujhtak pahunchaa deti hai
chor de chaand ke haatoN paigaam dena
ab yeh chaandni mujhper sitam dhati hai

na gardishe'N teri na aashmaan tera
jane tujhe kis chees ki gumaan hota hai
jism se rooh tak taar taar ho jata hai
jab tu ajnabee ban kar guzar jata hai


30 july 09

aaj fir us pathhar ko khudaa kar chale

.....

aaj fir us pathhar ko khudaa kar chale
zakhmi dil ki aah use sunaa kar chaleye

na socha milegi hume ruswai usse
khud ko hi ishq meiN fanaa kar chale

chehre per aftaab kaa noor dekh kar
bas unhe chahne kii khataa kar chale

unke aandaaz mein thi saadgi itnii
hum jism-o-jaan unper fidaa kar chale

dard ko youN dafnaa kar seene meiN
pyaar kii har rasam nibhaa kar chale

bewafai to unki rag rag meiN thi Diya
aap hee na jaane kyun wafaa kar chale

6 june09

uskii judaai ke gham mujhe tadpaaya bhi bahut

uskii judaai ke gham mujhe tadpaaya bhi bahut
tanhaayi me maine aansoo baahaaya bhi bahut

yuoN muskuraa kar milti rahi har ek shakhs se
aur zakham-e-dil ko sabse chhupaaya bhi bahut

jo khud gumraah huaa tha Duniyaan ki bhid me
usi shakhs ne raasta mujhko dikhaaya bhi bahut

shehar-e-dil meiN umeedoN kaa chirag jalaa kar
maine darmiyaaN faasalay koo mitaaya bhi bahut

meri har ek minnat koo jab khaariz kiyaa us ne
haath jod jod ker usko maine manaaya bhi bahut

jab bewafai ki daag lagaya mere daaman per vo
apna lahuu baha ke maine usse mitaaya bhi bahut

har lamha har ghadi uski ibadat karti rahi maiN
us pathhar murat koo khudaa banaaya bhi bahut

jisko dekha jisko chaha jise dil me basaya "Diya"
har kadam per ussi shakhs ne aazmaaya bhi bahut


4 june 09

Main shamma hu vo meraa parwaaNa hai

Main shamma hu vo meraa parwaaNa hai
humari mohabbat ka bas ehi fasaana hai

uskii teer-e-nazar aUr meraa dard -e-jigar
muskileiN to haiN magar khel suhaana hai

sukoon milta hai rooh ko uski baatoaN se
dil ke maamle mein vo bahot sayaana hai

apne hi ghar daawat meiN bulaa kar mujko
pyar se kahata hai vo ehi tera aasiyaana hai

chaand sitarooN kii tamanna na rahi mujhe
dhadakta hua uska dil hi Diya ka thikaana hai

03 june 09

Maahir hai vo bahut mujhko sataane meN

....

Maahir hai vo bahut mujhko sataane meN
guzre saal kii baat sunnata hai taane meN

yoN bewajah buraa bhala keh ker mujh ko
har shaam guzaarta hai vo maikhaane meN

karwat badalte huwe katti hai raateiN meri
subah suru hoti hai roothne manaane meN

chah kar bhi na mitaa saki usse apne dilse
socha tha milega dil ko qarar use bhulaane meN

Ho liye hasraton k kuch gham bhi sath mere
ab to maza aane laga hai chot khaane meN

badi berahemi se tod diya rishtey ko humare
kaii baras lage the jis ko banaane meN

tujhe rukshat na kar saki apni zindagi se Diya
yun to na-mumkin kuch nahi is zamaane meN

27 may 09

Mujse judaa ho kar jahaN jaaoge tum

.....

Mujse judaa ho kar jahaN jaaoge tum
siwaye aansoo k kuch Na paoge tum

Na keh sakoge dil kii baat kisi se......
kho kar mujhe bahot pachhtaoge tum

ye na socho ki maiN ho jaungi tanha
khud hii khooN ke aansoo rouge tum

kahin Na milega tumhe wafaa ka saya
bewafaa se hii yaarii nibhaoge tum

aitbaar jo hai tumhe husN walooN per
unhi ke haatho hi dhokha khaoge tum

sunoge sab se merii wafaa ka Qissaa
aur aankheiN sharam se jhukaoge tum

akele ho jaoge zindagi ke safar meiN
tab "Diya" se milne ko hi tarsoge tum

17may 09

Tere ishQ meiN naakaam hua aur kuchh na hua

Tere ishQ meiN naakaam hua aur kuchh na hua
bhari bazam me badnaam hua aur kuchh na hua

Meri wafaa kaa silaa teri jafaa kaa charchaa
sehar meiN saare -aam hua aur kuchh na hua

seeney mein dafan kar liya maine armaano ko
bas pyaar ka ehi anjaam hua aur kuchh na hua

meri har saanson me basa ek tera hi naam magar
fir bhi bewafa mera naam hua aur kuchh na hua

mohabbat meiN tujhse jo milne kii aarzoo rakhii
bas intezaar e har shaam hua aur kuchh na hua

maine sab kuchh kho diya tere pyaar ki khaatir
mera apna wajood nilaam hua aur kuchh na hua

kuchh is kadar miti hai "Diya" is ishQ me sanam
ke labon se teraa ehtraam hua aur kuchh na hua


30 april 09

Meri haatho se apne haath ko churaa ke woh

.....
Meri haatho se apne haath ko churaa ke woh
chala gaya mujhe buraa bhala sunaa ke woh

meri yaadoN se ab uskaa koi waastaa nahiN
khud ko samjhaya mere khat ko jalaa ke woh

youN hazaar sapne mere palko pe sajaa kar
hasrateN legaya meri aankhoN se giraa ke woh

ab samajh meiN aaya mujhe woh andaaz uska
kyoN karta tha baateiN ghumaa-firaa ke woh

aaj ashQoN ke dariya meiN beh rahi hu maiN
aur khush hai bahot "Diya" ko bujhaa ke woh

15 may 09

Chand banke dil ke aangan me utarta hai vo

Chand banke dil ke aangan me utarta hai vo
ashQ ban ke meri aankhon me dikhta hai vo

hansi banke rahtaa hai woh laboN pe mere
khushi banke meri raah meiN bikharta hai vo

saanson me meri basa hai bas ek naam uska
dhadkan banke is seeney me dhadakta hai vo

gulshan bana hai mera har lamha jindgi kaa
phool banke khawabon meiN mehakta hai vo

adaaon ne uski jaane kya jadoo kiya mujhpe
meri baaton me bhi ab kahin jhalakta hai vo

hotii hun maayus jab duniyaa kii ruswaaii se
haath mera badi pyaar se tab pakadta hai vo

maahtaab se chehre pe aaftaab kaa noor hai
umeed kaa "Diya" banke Dil meiN jalta hai vo


07 may 09

terii yaad meiN khud ko jagaate rahe

terii yaad meiN khud ko jagaate rahe
karwat badalte rahe muskuraate rahe

teri tasveer ko seene meiN laga kar
apne dil kaa haal usse sunaate rahe

youN hi ghazal kaa baahaanaa kar ke
tere naam ko lab pe gungunaate rahe

tere chehre ko aankhon me basaa ker
khuli aankhoN me sapne sajaate rahe

saatoN janam "Diya" terii hi rahegii ...
gar tu pyaar youN usper lutaate rahe

05 may 09

Kiska hai yeh AKS merii parchhaii mei.N??

Kiska hai yeh AKS merii parchhaii mei.N??
ho rahii Hai hulchul Dil kii gahraii meiN....

kiski aahat sun ne koo hai beqarar yeh dil
kauN yaad aarahaa hai muje tanhaii meiN

KyoN aitbaar hai muje khud k dil per itnaa
jitnaa karti hu maiN khuda ki khudaii meiN

kaun hai jo bha raha hai youN dil ko mere
jaise jina hoga dushwar uski ruswaii meiN

kiski chahat ka nasha chhaya hai Diya per
reh Na payegii ek pal bhii uskii judaii meiN

12 may 09

bina saawan ke hi baadal baraste dekhoge

bina saawan ke hi baadal baraste dekhoge
mere deedaar ko khud ko taraste dekhoge

lut gaya tha jo chaman kabhi toofaaN meiN
bahaar aane pe tum uss ko baste dekhoge

na karna rishtoN pe kabhi guruur tum itna
ki rishte koriyoN ke bhaav saste dekhoge

zubaN pe hai shahad aur dil me hai dhoka jinke
binaa zehar unn hi logoN ko daste dekhoge

ghamoN se hai Diya rishta apna yun kaayam
ki dard laakh ho tum mujhko haNste dekhoge

08may 09

AshQon ko aankhon me chhipaya maine

AshQon ko aankhon me chhipaya maine
muskurake har gham ko bhulaaya maine

saaya banke mere saath rahta tha woh
yeh Qissa kal chand ko sunaaya maine

Qatra Qatra pee kar judaayi ke aansu
bhari mahfil me sab ko hasaaya maine

mujhe ilm tha woh badaa hii farebi hai
fir bhii bharosaa us par jataaya maine

barson milta raha mujhe naqaabon mein
pyaar kaa rishtaa usi se nibhaaya maine

dard e Dil jubaan per jab laa naa sakii..
tab apne dard ko ghazal banaaya maine

tasavuur meiN vo mujhse roo-ba-roo hai
yeh samjhaa ke hi dil ko behlaaya maine

muhabbat me talab ko khatam kar k Diya
uskii yaadoN ko dil meiN dafnaaya maine


03 may 09

koi keh do usse ki ab woh Na sataaye mujhe

koi keh do usse ki ab woh Na sataaye mujhe
gar yakeen nahin mujhpe to aazmaaye mujhe

sukh gaye hain ashq mere aankhon se kab k
ho sake to kis bahane aa ker rulaaye mujhe

Kehte Hai Log Ishq to Ibaadat hai yaaroo
kabhi to pyaar se vo bhi gale lagaaye mujhe

dhundli ho chuki hai meri apni hi tasveer
koi guzre hue waqt ka aainaa dikhaaye mujhe

uske waade per ab bhi hai eitbaar mujh ko
aajaungi lout kar agar dilse bulaaye mujhe

Guzar rahi hai zindagi uskii intezaar meiN
sirf ek lahma samjh kar vo na bhulaaye mujhe

jab waqt le jaaye kabhi "Diya" ko pass uske
sikayat na hogi gar shab bhar vo jalaaye mujhe


24april09

Jitna bhi karlo tum mujh se sawaalaat

Jitna bhi karlo tum mujh se sawaalaat
ab Na bayaan hogi mere dil ki jazbaat

muskurake chhupaungi har ek gham apna
kabhi na hogi ab aansoon ki baarsaat

palakoN pe sajaa luNngi sapne hazaaro
phiir Na beetegi tanha mera ko_ii raat

kisi moR par tum awaaz na dena mujhe
zaalim nahi karna muje tumse mulaqaat

teri marzi ke mutaabik huwi mei.N duur
muje Na hogi dubaara tujhse mohabbat

hijr ke dard se ab dar nahin hai muj ko
is Zindagi meiN nahin teri koi zaroorat

jab jalaya hai Diya In aandhiyo.N mei.N
bujega gar to kru.N bhi kis se shikaayat

17april09

kisi ke waade per hum aitbaar nahin karte

kisi ke waade per hum aitbaar nahin karte
wafaaoN ki Qatil se pyaar nahin karte

jo pal do pal mila aur hume apna kah gaya
us keliye dil ko hum beQaraar nahin karte

apne dil ka raaz sabko kyoN bataye hum
saare aam mohabbat ka izhaar nahin karte

jiska naam na ho haatho ki lakeeroo meiN
use pane ki khwahish baar baar nahin karte

bhari mahfil mein jo hume tanha chor diaa
uske wapas aane kaa intezaar nahin karte

ek musafir kya humsafar banega tera Diya
paGli ishQ meiN dil ko bimaar nahin karte

6 april 09

Saare riste akele hum nibhate rahe

Saare riste akele hum nibhate rahe
zakhm ko chhipa ker muskurate rahe

waQt ke saath kaise badal gaye woh
Hum to yaaroo unko sirf dekhate rahe

raat bhar unki loutne k intezaar meiN
hum chiraag ko ghar me jalaate rahe

hijr ke dard ko khakh samjhenge woh
jab bhi mile bas hume aazmaate rahe

bade shaan se seena tan kar dekhiye
roz humare samne vo aate jaate rahe

nazar milaa ker jo nazar pher li "Diya"
Kyon fir unse tum nazar milaate rahe

Apne dard-e-Dil ko jab hum Nikale manaane

..
Apne dard-e-Dil ko jab hum Nikale manaane
taaza ho gaye fir se ka_ii Qisse puraane

jane kab wafaa ke raah per chalte chalte
aagaye the aansooN ke dariyaa meiN nahaane

palat kar dekhe jab apne ateet ke panno ko
dil ki gaherayio.N se nikle dard ke Khazaane

ta-umr guzarii hai khwab meiN jinhe soch ker
kab banega vo mera naseeb, bhala kauN jaane

aaj jashN mana rahe haiN vo apnii khusi ka
sareek hue haiN hum unki dosti ke bahaane

Unki dahlez per youN khade dekh kar humein
logon ke labon per aaye mohabbat ke fasaane

akshar main sochti hun tanhai mein baith kar
Kaunsa rishta hum chale the unse nibhaane

socha nahiN buraa kabhi dil ke ghubaar meiN
fir kyuN vo aaye haiN Diya ka khun bahaane

7 april 09

Vo mujh pe rahaa mehrbaan sirf chaar din

...
Vo mujh pe rahaa mehrbaan sirf chaar din
ban gaya tha mera kadrdaan sirf chaar din

main pagli samjh baithi thi mohabbat usko
vo tha mere dil ka mehmaan sirf chaar din

dikhaye khawab bahot chaand sitaroon ke
ban gaya vo mera bhagwaan sirf chaar din

dil me dhadkan ki tarah basaya tha usko
likhi mohabbat ki Dastaan sirf chaar din

bade pyaar se bulata tha vo jaaN mujhko
ghumaya sapno me gulistaan sirf chaar din

kitne haseen the vo khwab ki duniya Diya
thi har ek gham se anjaan sirf chaar din

14april 09

Kismat se mila muje vo Insaan


...
Kismat se mila muje vo Insaan
sab se pyara hai jiski muskaan

chamakta hua chehra uska dekho
kitni meethi hai uski zubaan

Chand bhi chhupta hai badal me
jhuk ke dekh raha hai aasmaan

utar aayaa hai zameen per dekho
farishte ki roop mein ek Insaan

rab ne jab banaya to socha hoga
kaash waqt na le iska imtihaan

kabhi to bahot satata hai muje
kabhi karta hai thora pareshaan

mujh se muj ko chura ker dekho
likh rahaa hai pyaar ka DastaaN

Kaise guzri vo haseen raat na puchoo

Kaise guzri vo haseen raat na puchoo
kaise hui unse mulaaQaat na puchoo

uski aakhoon me kho gayi thi is kadar
kah raha tha vo kounsi baat na puchoo

dhadkan tez thi ruk gayi thi saanse
zinda hu kaise ye sawalaat na puchoo

kahani vo Qurb ki zikr na karo yaaroo
kis tarah hui haasil sougaat na puchoo

bekhabar hun main khud ki haalaat se
kaise hua pyaar ki barsaat na puchoo

Hansaata hai ishQ rulaata hai IshQ

Hansaata hai ishQ rulaata hai IshQ
rang kaise kaise dikhaata hai ishQ

ye daulat bhi hai aur shauhrat bhi hai
husn ke jaal meiN faNs ke bikta hai ishQ

meri haaN meiN ishQ teri naa meiN ishQ
diloN ko Qaraar dilaata hai ishQ

kahin aabaad kahin barbaad hai ishQ
har koi duao.n main mangta hai ishQ

bachale damaN "Diya" ishq ki chingari se
rabb ki kasam bahot tadpaata hai ishQ

31 march 09

pahle vo khud muje bhulaa diya

.........
pahle vo khud muje bhulaa diya
fir wapas bula ker hauslaa diya

tum mere manzil the hi nahiN
yeh baat usne muje bataa diya

khusiyon ka wasta de kar muje
aansu se mera rishta banaa diya

khus rahe vo zindagi bhar rab
dilse usko main ehi Duaa diya

vo bhatak na jaye andhere meiN
uske haatho mein ek Diyaa diya

03 april 09

Ek din tumse dur chali jaungi

....
Ek din tumse dur chali jaungi
tum rouge per main na aaungi

mere tasveer se karoge baateiN
aur main kuchh na kah paungi

Dil ka rista hai tumse mera
yeh baat sitaaroN ko bataungi

chaand ke haath se roz tumhe
main paigaam diya karungi

fir bhool jaoge tum bhi muje
main gujra hua kal kah-laungi

koi khwahish ho to maang lena
main sitaara banke tut jaungi

31march 09

Banake apna bhulaya muje mere mehboob

Banake apna bhulaya muje mere mehboob
pahle hasake rulaya muje mere mehboob

karke pyar mohabbat ke baateiN hazaaroN
ishQ ke aag me jalaya muje mere mehboob

chahat ka souda kiya wafaa ke naam per
roz roz zehar pilaya muje mere mehboob

tukde tukde karke usney mere wajood ke
dard k sagar me bahaya muje mere mehboob

Hijr ke sab gham meri jhooli meiN de kar
Bewaafa kyun banaya muje mere mehboob

dar badar thokar khane ko chor diya muje
fir kaanton pe chalaya muje mere mehboob

20 april09

Dil kisika kabhi Na torna yaaroo

.....
Dil kisika kabhi Na torna yaaroo
Daman sachai ka na chorna yaaroo

Khud hi mit jao raah-e-wafa per
bewafa se Rista na jorna yaaroo

banaata hai kamjor krodh insaaN ko
sar pathhar se apna na forna yaaroo

khila do sab ke laboon per muskaaN
khud dard ka chaddar orhna yaaroo

gar tut jaye aainaa to fenk do usse
magar tute ristoN ko jorna yaaroo

jahaN jal raha hai umid ka ek "Diya"
hawaa ko us tafar na morna yaaroo

30march2009

kaise karu.N bayan mera Dil tanhaa KyoN hai

..........

kaise karu.N bayan mera Dil tanhaa KyoN hai
Mera tha jo kabhi aaj kisi aur kaa kyoN hai

bhulaa diye jisne saare wade.N wafaa ke
woh aaj mujhe itnaa yaad aataa kyoN hai

Dil barbad hua aur aah bhi na nikaal sakii
aakhir mere saath hi aisa hotaa kyoN hai

merii har saanseiN pukarti hai naam usika
fir na jaNe darmiyaN itnaa faslaa kyoN hai

kaha tha nibhayega saath mera marte dum tak
Saath do kadam chalne ko aaj itrataa kyuN hai

pyaar ka bandhaN hai gar saatoN janam ka Diya
koi hume chor kar yuoN chalaa jataa kyoN hai

18march 2009

ek aashar

Pyaar meiN guraze jo do pal vo kam nahiN
kal mile ya Na mile hum koi gham nahiN
roz roz karte raheiN uNkii sikayat sabse
aise chahane waaloN meiN samil Hum nahiN

"vo Mohabbat meiN ye kaisi wafaa de gaya"

vo Mohabbat meiN ye kaisi wafaa de gaya
khus rahun usse bhool kar ye Duaa de gaya

Koi raqeeb hota to maiN bhool jati usse
habib ban kar bhi vo mujhe jafaa de gaya

chala gaya woh guzre hue mausam ki tarah
mujhe taNhai meiN jine ki baQaa de gaya

Chaand ban kar utarna tha meri aangan meiN
vo dard ke barish aur thandii hawaa de gaya

Kitna muskil hai khud ko samjhaNa "Diya"
jab mout se bhi badh kar koi sazaa de gaya

14 march 2009

Friday 31 July 2009

apni hi khataoN per afsos to tab hota hai

apni hi khataoN per afsos to tab hota hai
ilm gunaahoN ka insaaN ko jab hota hai

gir gir ke sambhalne se humne bhi ye hi seekha
zamane main aaj kal aachha kahaN kab hota hai

kitni bhi baRi mushkil aa jaaye mere aage
dil hai ki mera kahta, aksar ye sab hota hai

Na samjha maine khud ko akela is dayaar meiN
har ghadi muje sambhale huwe mera rab hota hai

e haste hue aankheiN sirf nazarooN ka dhokha
jo dikhta hai saraab* woh dariyaa kab hota hai

poochte haiN bazm meiN meri Roshni ka raaZ
jalta hai Diya dard ka sailaab jab hota hai

*saraab-Mirage

Hum khafa kab the jo hume manaaNe aaye ho

Hum khafa kab the jo hume manaaNe aaye ho
aaj kounsa naya gul aap khilaaNe aaye ho

kab aitbaar kiya tha aapki wafaaoN perj
o wafa-o-jafa ki baateiN sunaaNe aaye ho

sadiyaaN gujar di aap gairoN ki baho meiN
Ab bacha kya hai jo yahaN lootaaNe aaye ho

waqt ke saath hum.ne bhulaaya hai aapko
fir kyoN apni yaad hume dilaaNe aaye ho

Humari mout per YouN jhoote ashQ bahake
jane kounsa naya ranG aap dikhaaNe aaye ho

karke Qatl Diya ko bhi chain na mila aapko
ab kya meri Qabr ke nishan mitaaNe aaye ho

24feb 2009

Humesha rahoongi tumhari Diya........

Paa liya hai bahot kuchh
ab na kuchh maiN chahuNgi
subah shaam rab se pahle
ab tera hi Naam me looNgi

chhor ke apna baabul ko..
maiN piya ke ghar jaaungi
mithhi mithhi batooN meiN
sab ke dil ko bahlauNgi

bhar ke maang meiN sindoor
main suhagaaN ban jauNgi
bandh k pyar ka bandhan meiN
unki ardhangiNi kah lauNgi

sirf khusiyoN ka rang hoga
mere ghar ke deewaar per
aise hi kuchh hasiN pal ko
mutthi meiN quaid kar looNgi

rakh kar unke seeNe pe sir
jab thakke maiN so jauNgi
pyar se woh sahlayeNge
maiN kuchh bhi Na kahuNgi

youN hi karwat badalte hue
maiN khud hi gun gunauNgi
maiN tumhari thi tumhari hun
humesha tumharii rahuNgi

"terii tasveer hai dil meiN"

Bhid meiN tanha ho jati huN
YouN akeli meiN kho jati huN

Dil kii surkh Deewar per
tera hi Naam likh deti huN

teri surat ko soch kar
maiN ghazal kah deti huN

roz tere saath mulaqaat
khwaboN meiN kar leti huN

yaadoN ki chaddar odh kar
raat ko maiN so jati huN

terii tasveer hai dil meiN
Nazar jhuka ke dekh leti huN