Friday 31 July 2009

apni hi khataoN per afsos to tab hota hai

apni hi khataoN per afsos to tab hota hai
ilm gunaahoN ka insaaN ko jab hota hai

gir gir ke sambhalne se humne bhi ye hi seekha
zamane main aaj kal aachha kahaN kab hota hai

kitni bhi baRi mushkil aa jaaye mere aage
dil hai ki mera kahta, aksar ye sab hota hai

Na samjha maine khud ko akela is dayaar meiN
har ghadi muje sambhale huwe mera rab hota hai

e haste hue aankheiN sirf nazarooN ka dhokha
jo dikhta hai saraab* woh dariyaa kab hota hai

poochte haiN bazm meiN meri Roshni ka raaZ
jalta hai Diya dard ka sailaab jab hota hai

*saraab-Mirage

Hum khafa kab the jo hume manaaNe aaye ho

Hum khafa kab the jo hume manaaNe aaye ho
aaj kounsa naya gul aap khilaaNe aaye ho

kab aitbaar kiya tha aapki wafaaoN perj
o wafa-o-jafa ki baateiN sunaaNe aaye ho

sadiyaaN gujar di aap gairoN ki baho meiN
Ab bacha kya hai jo yahaN lootaaNe aaye ho

waqt ke saath hum.ne bhulaaya hai aapko
fir kyoN apni yaad hume dilaaNe aaye ho

Humari mout per YouN jhoote ashQ bahake
jane kounsa naya ranG aap dikhaaNe aaye ho

karke Qatl Diya ko bhi chain na mila aapko
ab kya meri Qabr ke nishan mitaaNe aaye ho

24feb 2009

Humesha rahoongi tumhari Diya........

Paa liya hai bahot kuchh
ab na kuchh maiN chahuNgi
subah shaam rab se pahle
ab tera hi Naam me looNgi

chhor ke apna baabul ko..
maiN piya ke ghar jaaungi
mithhi mithhi batooN meiN
sab ke dil ko bahlauNgi

bhar ke maang meiN sindoor
main suhagaaN ban jauNgi
bandh k pyar ka bandhan meiN
unki ardhangiNi kah lauNgi

sirf khusiyoN ka rang hoga
mere ghar ke deewaar per
aise hi kuchh hasiN pal ko
mutthi meiN quaid kar looNgi

rakh kar unke seeNe pe sir
jab thakke maiN so jauNgi
pyar se woh sahlayeNge
maiN kuchh bhi Na kahuNgi

youN hi karwat badalte hue
maiN khud hi gun gunauNgi
maiN tumhari thi tumhari hun
humesha tumharii rahuNgi

"terii tasveer hai dil meiN"

Bhid meiN tanha ho jati huN
YouN akeli meiN kho jati huN

Dil kii surkh Deewar per
tera hi Naam likh deti huN

teri surat ko soch kar
maiN ghazal kah deti huN

roz tere saath mulaqaat
khwaboN meiN kar leti huN

yaadoN ki chaddar odh kar
raat ko maiN so jati huN

terii tasveer hai dil meiN
Nazar jhuka ke dekh leti huN

apni nazar se mujh ko bhi aazmaa ke dekhiye

apni nazar se mujh ko bhi aazmaa ke dekhiye
dil bekraar hai kitna ye paas aa ke dekhiye

aashan nahin kisi ki bhi yaadoN mein hi jeena
apno se door khud ko bhi le jaa ke dekhiye

dikh jaayega ek pal meiN hi khwaaboN ka bikharna
haathoN se mere haath bas churaa ke dekhiye

jab jab vo tang ho gaye mere sawaaloN se
kahte haiN burii baat vo jhallaa ke dekhiye

jab ashQ bhar aayeiN tumhaari aaNkho meiN mere
yaadoN ka meri ek Diya jalaa ke dekhiye

KyoN Na ek aur jaam tere Naam ho jaye.......

KyoN Na ek aur jaam tere Naam ho jaye
Qisse teri bewafai ki saare-aam ho jaye

itna jo guroor hai tujhe khud pe zalim
tu bhi sabke nazar meiN badNaam ho jaye

maiN gar jhooti huN, mujhe maut aa jaye
tujhmeiN kami ho to tu tamaam ho jaye

Duaa hai Diya ki aaj khudaa ki dar pe
tu bhi soudagar ke hathoN Nilaam ho jaye

mujhe achha lagta hai

.................

taasvvur meiN usko sochna muje achha lagta hai
bin baat ke youN muskurana muje achha lagta hai

badal gayii hu maiN ya badla hai yeh mausam
kyu.N yeh badla zamana muje achha lagta hai?

band kamre mein sajti huN main Dullhan ki tarah
Hatho.N mein mahendi rachana muje achha lagta hai

vo milte hain to kho jaati hain saaree baateiN
Nazro.N se bate.N karna muje achha lagta hai


Tanhaii mein jab gum ho jati hun uski yaadoN meiN
kisi aahat se youN ghabrana muje achha lagta hai

Yunh to ghazale.N kayin likhi hai meine ab tak
Uski ulfat mein ghazal likhna muje achha lagta hai

vo sukooN ki neend soye maiN jagti rahuN raat bhar
Use pyaar se youN Nihar na muje achha lagta hai

jannat ka thikana gar koi puchh ta hai mujh se
uske ghar ka rasta dikhana muje achha lagta hai


hole se muskurata jab gujata hai meri galiyoN se
koi kahe yeh Diya ka Deewana muje achha lagta hai

my first nazam ................

Kabhi khayaloN meiN aata hai
Kabhi khwaboN meiN aata hai.....
Ek shaks mujhe bahot yaad aata hai...
Main bhool na chaun to bhool na paun,
Is kadar woh mujhe tadpata hai.....
Waqt ke haathon khilona banake
Apne isharon se nachata hai
Jane kyuN aaj fir vo shaks yaad aata hai.

Main khud se Juda ho gayi
Jo na karna tha woh kar gayi
Yaad karne se yaad bhi na aaye
Aise usko main bhool gayi......
Fir bhi,woh roz sapno main aata hai,
Mujhe bar bar thukrata hai......
Jisne mera wajud mitaa diya .....
Jane kyuN aaj fir vo shaks yaad aata hai.

Main to bas uski jarurat thi ..
Yeh mujhe bata diya tha woh....
Apne dil se mujhe mita diya tha woh ..
Fir bhi kyun woh mujhe apna lagta hai
uske yaad jaise ek sapna lagta hai
Jane kyuN aaj fir vo shaks yaad aata hai.

maiN nazaroN se kahne lagi
to ek paighaam ho jayega
meri Khamoshi hadse badhegi
to Kohraam ho jayega

sabse chhupa kar kab tak
nibhayenge pyaar ke rasam ko
kabhi na kabhi humare Qisse to
saaree-aam ho jayega

Ek anjaaN musafir hun jaaNa
maiN terii apni sehar meiN
tu mere saath chalne lagaa
khamokha badnaam ho jayega

Mujhe achha nahiN lagtaa
tera har ek shakhs se milNa
sabko mayassar hone lagaa
to ek din aam ho jayega.......

Main Diya hun tere aangaN ka

Main Diya hun tere aangaN ka
har shaam jise tuNe jala diya
teri berukhi adaaoN ne
muje patthar dil baNa diya

Naayi maNzil nayi mahfil
yeh Daulat aur shauhrat
lut liya mera neend chaiN
har waQt muje rula diya

Sou Zulm uthane ke baad bhi
maine uff lab tak Na laya
tere khusi ke khatir rahnuma
maine khud hi khud ko mita diya

kabhi uthe jo sawal dil meiN
kyoN tere saath aisa sulook kiya
mujhse mil lena tuje batadungi
yahaN kisne kisko bhula Diya

"Vo mera nahi fir uske liye kyoN tadapta hai dil"

Vo mera nahi fir uske liye kyoN tadapta hai dil
bar bar usse milne ko kyoN tarasta hai dil

tamaam dayaar mein woh ek hai ajnabee
jisse baho mein bharne ko chahta hai dil

woh chand sa chehra woh qateel nigaheiN
usse chup chup ke bahut kuchh kehta hai dil

sulagte hain issi dil mein mere kai armaaN
nazar -E- harf se usse salaam likhta hai dil

badi Fursat se banaya hai rab ne mere yaar ko
uske badan ki khusboo se mehakta hai dil

be-intehaa mohabbat karti hai Diya usse
lafzon mein bayaaN karne ko kyoN darta hai dil

4th feb 2009

"jane woh konsi rasam fir se nibhaaNe lage haiN"

vo hi baateiN vo aaj phir se dohraane lage haiN
ki jinko bhuulne me kitne zamaane lage haiN

Qurb kaa Zikr karke badhate rahe faasale
jane woh konsi rasam fir se nibhaaNe lage haiN

khuda se bhi jyada Aeitbaar tha jispar hume.N
har baat per ab woh hume aazamaaNe lage haiN

Tammam umr saaya ban ke saath raha woh mera
Jane kis wajah se aaj daman chhudaNe lage haiN

duniyaa waale pyaar ko mere ruswaa Na karde
yeh soch ke apne ashQ hum chhipaaNe lage haiN

woh mohabbat hi kya jo zaamaNe ko dikhayi de
khud ko hi yeh dilasa hum dilaaNe lage haiN

muddatoN se qatl huwi hai har ek tamanna meri
bhulke saree gham Diya fir se jalaane lage haiN

meri pyaari "tamanna"


Vo larki nahin ek paheli hai
meri sukh dukh ki saheli hai

pyar se bulati hai janu muje
mere haathon me jo kheli hai

mom jaisa naram hai dil uska
kitnii naajuk woh albeli hai

baat baat per roti hai bahot
thori bholi thori hatheli hai

apne hii dhun meiN rahti hai
laakhon meiN woh akeli hai

ek nanhi si pari meri tamanna
is dil me jagah usne leli hai

mile aapka pyar to hum savar jayenge

jab maine ghazal kya hai jana magar behr se anjaan tha
tab ghazal likhne ki koshish mein jo tahreer kahi thi
vo aap sabke saath share karna chahati hu ..........


mile aapka pyar to hum savar jayenge
Na mile pyar to youN bikhar jayenge

mohabbat bhi aapse sikayaat bhi aapse

aapse bichhad ker hum kidhar jayenge

Dooriyaa do pal ka Na sheh payenge
bin aapke bhala kounsi Nagar jayenge

riyaasat bhi aapki siyasat bhi aapki

wada karke kaise aap mukar jayenge

aap meiN aise hum shamaa jayenge
banke saanseiN dharkan meN utar jayenge

is kadar Diya ko mohabbat hai aapse
aaj to saarii had se hum gujar jayenge

my fiirst Romantic tahreer

Aaj Barish Main Bheeg Jaun
Aur Tum Bas Mere Saath Ho

Jhoom Loon Baho Main Tere
To vo Qayaamat Ki Raat Ho

Labon Se Chum Le Jab Tu Bas
Yehi Meri SauGhaat Ho

Sharma Ke Simat Jaun maiN
Aur Sirf NazRoon Se Baat Ho

Sar Tere Seene Par maiN Rakhun
Roushan Puri Kaiinaat Ho

Bhar Le Mujhko aaGhosh meiN
Poorii Mere Dil Kii Baat Ho

Tezii SaaNson Ki Garmi maiN
BayaaN Teri Meri Mohabbat Ho !!!

Koi achhi sazaa de dena.....


Bhulna chahate Ho Mujhe To Beshak Bhool Jana
Apne Hatoon Ke Lakeer Se Meri Naam Mita Dena

Har Jagah Tere Pehechan Liye Ghumti Hun maiN
Main Kya Hun Tera Yeh Aaj Tu Mujhe Bata deNa

Main Manti huN Tujhse Mohabbat Karna Jurm Hai
Usii Jurm Ki Mujhe "Koi Acchi Saza De Dena"

Is Jeevan Ka Har Pal Tere Hi Naam Kar Di Hai
Tu Usse Gujraa Hua Kal Samjh Kar Bhoola deNa

Apne Zakhom Ko Chhupake,Tere Bin Kaise jiu
Tere Pyar Ko Kaise Dilse Mitaoon,Ye Bata Dena

Tumko Bhool Pana Mere Liye Namumkeen Hai
Mumkin Hai Agar Meri Saari YaadeiN Mitaa Dena

Eid manana hai

Aaj to khoob sajna hai sawrna hai
Saajan tere sang Eid manana hai
Kaan.o main bali hatho.n mein kangan
Mathe pe bindiy.a lagana hai
Haatho.n mein mehandi pawo.n mein payal
Aakho.n mein kaajal lagana hai
Saajan tere sang Eid manana hai

sayad mujhko unse Mohabbat ho gayi

Kaal raat sapno mein
unse mulakat ho gayi......
nazar se nazar mili aur
kya kya baat ho gayi........
main shrmane lagi ,
woh ghabrane lage,
jaise humse koi
hasin gunah ho gayi.......
tabse yaaroo muskurati hun har pal
sayad mujhko unse Mohabbat ho gayi.......

Tere aangan main ek diya hoke jalna chahati hun


Tere aangan main ek diya hoke jalna chahati hun
har sham tere paas main rehena chahati hun

Rafta rafta bikhar chuki hun tere pyar mein
ab har sapna main sakar karna chahati hun

chahat ki safar to kai imtehan letaa hai
main har imtehan tereliye dena chahati hun

tere pyar ke khatir yeh zalim duniyan se
main roz bagawat karna chahati hun

bechain palkon se tere aane ke intezar karti hun
tere mathe ki pasina in aanchal se mitana chahati hun

koi sapne ki duniyan hai to le chal mujhko
main pariyon ki kahani tujhe sunana chahati hun

Pyar main do labz ab bol de aaj Diya ko
puri zindegi tere hawale karna chahati hun

Mujhe apna banane ka wada to kar


Mujhe apna banane ka wada kar
main teri hun tu mere banne ka wada kar

sapne hazaron hain nigahon main
woh sapne nigahon main sajane ka wada kar

jab jab samne aate ho tum
mere dil bekrar karte ho tum

main chahat ki safar main youn kho jaun
tu humsafar banega meri yeh wada kar

sirf labzon se ekrar hota nehin
Ek nazar main pyar hota nehin

main pyar main bikhar jaungi
tu samet lega mujhe yeh wada kar

kehete hain mahabbat imtehan leti hai
main har imtehan de dungi tere khatir

Tere ishq main faana ho jaungi
tu mujhko na bhulane ka wada kar

koi umeed na raha


Tute dil main ummid ka kai kinara na raha
Zinda rehene ka yahaa.n koi bahana na raha

dil me koi khwhahish koi armaan bhii na raha
mere labon pe ab us sitamgar ka bhii naam na raha

main unse miloon, ye bechaini bhii jati rahi
in aankhoN main bhii kisika intezar na raha

Raat ka ek phool huuN, murjha jaungi subha tak
ab to mujhse khusboo ka wo bahana bhii na raha

gazalo.n aur nagmon ki bate.n kya kare.n
dil main khud ko gungunane ka armaan na raha

"Diya" HuuN, bujh jaungii subah ke ujale meiN
mujhe kabhii ujaalo.n se koii lagav na raha
Bahot Chaha Hai tujhe, Kitna Pyar Karti Hoon
Yeh Aaj Tuk tujhe Lafzo Me Main Bata Na Sakii

Mere Ashq-E-Gham To Bahe to Magar
Main Na Dil Kisi Ka Bhigo Sakii

Naghama-E-Ishq Bahut Likhe humne
Koi Beej-E-Ishq Na abtak Bo Sakii

Tujhe Pyar Kiya kya se kya main ban gayii
tere baad kisipe Kitna Yaqeen kar na sakii

Tumhe Yaad Nahi Karoongi Aisa Bhi socha nehin
tujhe bhool na chaha magar bhool na sakii

Tumahre Aakhri Lafz Kuch Itne Bhaari TheKi
Unke Aage ‘Diya’ Apni Zuban Hila Na Sakii

kuchh yaadein jo humesha mere saath hai


jab main ghazal nazam se kosho dur thi tab maine kuchh tahreer likhi thi
vo main apni blog main samil kar rahi hu ...........
koi yuN hi shayar nahi ban jata hai .............
bahout muskil hai yeh safar .........
magar ehesaas jo hai vo to yun hi bayan hote hain
yeh meri yaadein hai ,jab main shayaara nahi thi
...............................................



Tumhare jane ke baad tumhare tasveer se baat karti hun
Dil ki halaat hain kuch aise ki khud se sawaal karti hun

Kab hogi mulaqaat tumse,isi intezaar main raheti hun
Mohabbat ke naam pe tumhe lamha lamha yaad karti hun

Tumse milne ke baad Zindegi kitni hasin ho gayi hai...
Yeh Qisse na jane main kis, kis se kahane lagti hun

Tumhare aankhon ki chamak mujhe pagal bana rakha hai
Band kamre main ab toh , har baat yaad karke hasti hun

Jab tumhare yaadein satane lagte hain main bechain hoti hun
Bin tumhare Sajaan pal pal ab khamoshiyon se takkrati hun ......

Tumhare mohabbat ab humare zindegi ki pehachan ban chuki hai
Mere Dil-O-Jaan Sanam ab tere pyar main loot chuki hai ....

Meri jaan-e-wafa itna intezaar mujhko kyun karwaate ho
Deedaar ko dil tarshta hai is baat se kya tum aaj bhi anjaan ho..?

kuchh tahreer jab main shayaara nahi thi

Tujhe apne aagosh main bhar lena chahati huu
Jee bhar ke tere saath pyar karna chahati huu

Haar paal tere saath ek mulaqaat chahati huu
Tujhe apni aankho me quid karna chahati huu

Apne dil main tujhe mehsush karna chahati huu
Tujhe pyar k bandhan main bandhana chahati huu

Tujhe apni yaadon main ab sametna chahati huu
Teri bahoo main sanam aaj bikharna chahati huu

Tujhe duniyan ki nazaron se chupana chahati hun
Chup chup k tere nazar se nazar milana chahati huu

Tujhko sanam apna humsafar banana chahati huu
Mere hi rahena main tujh main khona chahati huu

Tujhe main kaise bataun ki main kya chahati huu
Tere hi god main aakhari neend sona chahati huu

my 2nd nazam

Bahat kuchh kho chuki hun
ab tujhe pana chahati hun
apne baho main bharlo
sar rakhke tere dil pe rona chahati hun
sardiyon ke mousam main
Ek chaddar ke niche ...............
Tere seene pe sar rakh kar
Sukun Ki neend sona chahati hun

My 1st short nazam

Woh meri manzil nehin
main uske maqsad nehin
main uska pyar nehin
woh mera talbgaar nehin
fir bhi yeh kaisa eheshash hai
jo uske lakhon zakham khane ke baad
Dil bar bar usko hi chahata hai