Wednesday 27 January 2010


.............

rasm shiddat se nibhaate rahe
hum rote rahe wo rulaate rahe

lahoo aansoo ban ke behne laga
hum peete rahe wo pilaate rahe


daastan un k mashghalooN ki aksar
hum sunte rahe wo sunaate rahe

shab bhar chaiN se bistar per

wo sote rahe, hum phuslaate rahe


zakhm hi zakham haiN jigar per
wo batlaye, hum chhupaate rahe


badi mehnat se kamayi thi izzat

wo mehfil mehfil usse lutaate rahe


roshni hui gayab humare ghar se

wo jashn deewali ka manaate rahe


humare dil meiN khud reh kar Diya

hume apne dil se wo mitaate rahe

27jan2010

Monday 25 January 2010

"beh gayee saari hasrateiN meri ashQoN meiN"

.................................
beh gayee saari hasrateiN meri ashQoN meiN
ab machalte nahiN khwab meri aankhoN meiN

phela raha hai nafratoN ka zehar jo char soo
woh masihaa ban ke baithaa hai logoN meiN

tere iraadoN se waaqif hooN maiN barsoN se
mat uljhaa mujhe tu in siyaani baatoN meiN

chhupaayaa hai duniya se is nayab daulat ko
danish-war jisse dard kehte haiN lafzoN meiN

vo qareeb ho kar bhi, tujhse kooso door raha
farQ rahaa kiyaa habibooN aur raQeeboN meiN

ajal dila de mujhe rah-e- haq magar, ye Moula
kar de Diya ko shaamil lakhoN sitaaroN meiN


-Diya

25th jan2010

"ek shakhs meri zindagee ko veeraaN kar gaya"

....................

Hua rukshat to mujh pe, woh ehsaaN kar gaya
ek shakhs meri zindagee ko veeraaN kar gaya

yeh kaun aa gaya mere khawab-o-Khayaal meiN
jo mujhse hi mere kirdar ko anjaaN kar gaya

khauf-e-khudaa kiya na kuch khayal kiya mera
jaate-jaate woh merii maut aasaaN kar gaya

tez barish meiN uj_de ghareeboN ke aashiyaaN
abke saawan purii basti ko shamshaaN kar gaya

majboor is Qafas meN armaaN ab bhi haiN zinda
jeene kaa yeh jazbaa mujhe hairaaN kar gaya

aansoo pite sisakte lab puchhte haiN ke "Diya"
vo hai kouN meharbaan jo tujhe bejaaN kar gaya


8th jan2010

Friday 8 January 2010

" khaaye haiN fareeb itne is zamaane se "

.................
khaaye haiN fareeb itne, hum is zamaane se
ke aane lagaa hai mazaa ab dil ko jalaane se

Qatilanaa andaaz vo Qayam, ab bhi hai unka
baaz aate nahi dil ko dukha kar manaane se

aa jee bhar k dekh tu apni berukhi ka manzar
gunaah naa honge kam, palkeiN jhukaane se

halat ki aandhiyon ke sang beh rahi hun maiN
kya milega zindagee tujhe, mujhko aazmaane se..?

DiloN ke darmiyaN duriyaaN jo la chuki haiN ab
vo Faasle nahi mitenge, tere mere mitaane se

koii puchhe mere mout kaa sabaab to kah dena
Huaa bekhudi-e-shoQ meiN hosh doob jaane se

-Diya



15jan 10

" in mehkate fizaaoN meiN tera naam likh diya "

.............

in mehkate fizaaoN meiN tera naam likh diya
phool phool patti patti sar-e-aam likh diya

teri nazroN meiN daikha jo pyaar ka samundar
maine dil k sahil pe tujhko salaam likh diya

meri tishnagee ko tujhse hi milti hai rahat
chhlke aankhoN se ashq to tune jaam likh diya

ya rab, uske dum se hai mere duniyaaN kayam
tune lakeer meiN mere khusi tamaam likh diya

na daulat hai, na shohrat ,na husN be-misaal
fir bhi tumne nachees ko gulandaam likh diya

milti hai teri Qurbat meN baaghay jinaaN mujhe
sajde meiN teri "Diya" ne yeh kalaam likh diya



gulandaam = Beloved, who is as soft as a flower

baaghay jinaan- Jannat

07jan10

"tum se koi shikwaa yaa gilaa na karenge"

................


tum se koi shikwaa yaa gilaa na karenge
kasam tumhari tumhe ruswaa na karenge

agar maayusi ho hasil is riste se tum ko
tou samne tumhare hum aayaa na karenge

tere talakh lafzon se hon tukre dil ke
zubaaN per uff talak laayaa na karenge

jis chaman meiN mile khaar kii chubhaN
us chaman meiN dubara jayaa na karenge

jab tum hi chupaye apne ghamoN ko humse
hum bhi apne zakhm ko dikhaya na karenge

jee bhar k dekh loon tumhe Qaza se pahle
ab ke baar gaye to fir ,aaya na karenge

22 dec09