Friday 23 April 2010

"tere ishQ kaa huaa, aisaa asar meri jaan "




tere ishQ kaa huaa, aisaa asar meri jaan
koi aata nahi aur mujhko nazar meri jaan

seene meiN hai dil ,aur dil meiN dhadkan
teraa hi teraa har -soo, basar meri jaan

sataate ho aise ki jaise ajnabee hun maiN
kyaa karoge, rooth jaaun agar meri jaan

har ghadi har lamhaa, bas tere hi khiyaal
chor ke jaaun tujhko, kis dagar meri jaan

mahtaab saa chehre per aftaab saa noor
jaise, aasmaan se aaya hai utar meri jaan

teri ek hi nazar ne kiya ,khud se bekhabar
ab na dekh mujhko tu, is kadar meri jaan

mile meri har khusi, duaaoN meiN tujh ko
de de apna gham mujhko udhar meri jaan

na jaane kab pura hoga meraa yeh armaaN
rakhungi tere seeney pe apna sar meri jaan

dekh loon jee bhar ke tujhe Qazaa se pahle
fir ,terii aagosh meiN jaaun mar meri jaan

jab mout ke bistar per, so jaayegi "Diya"
aansoo se na sajaana uski kabar meri jaan


23 apr 2010

"KyuN khafaa is tarhaa huye jaa rahe hai "

......................



KyuN khafaa is tarhaa huye jaa rahe hai
ashQ ghamo ki khud hi piye jaa rahe hai

aadat hai logoN ka yahaN nastar chalana
hum chak-e- zigar bas, siye jaa rahe hai

tumse juda hone ka gham nahi hume ab
yadein tumhari saath jo liye jaa rahe hai

apne hi laash ko uthaye hue kandhe per
zindagi tujh pe ehesaan kiye jaa rahe hai

kuchh tamannaoN ko lafzoN meiN dhal ker
juzbaat ki kitaab unhein diye jaa rahe hai

ajaye vo firse humare dil dukhane ko Diya
isi umeed se hum bhi, jiye jaa rahe hai


21 april 2010

Thursday 8 April 2010

"rakhegi tujh ko yaad bhulaane ke baad bhi "






.....................

baki hain yadoN ke nishaN mitne ke baad bhi
Dil meiN basa hai tu, bichharne ke baad bhi

khushboo fizaaoN mein hai , ab bhi mojood
tut ke daali se phool, bikharne ke baad bhi

shamma teri mohabbat ki is dil meiN sanam
jalti rahegi sadiyaaN gujarne ke baad bhi

aankhein mundooN to chehra dekhti huN tera..
dur nahiN tu mujhse ,dur jaane ke baad bhi

chaahat hai teri Qurbat magar, Qismat meri
ho na sakungi terii tujhse lipatne ke baad bhi

ajnabi they, fir se dono ajnabi ban jayenge
raah-e-ishQ meiN, saath chalne ke baad bhi

ashQoN ko tabassum mein chhipaa ker "Diya"
rakhegi tujh ko yaad bhulaane ke baad bhi

"bekhabar rahe tu, maiN tujhse pyaar karooN "


.......................


Jee chahtaa hai tujhpe jaan nisaar karooN
bekhabar rahe tu, maiN tujhse pyaar karooN

mujhko khabar hai tu milne na aayega ,magar
dil kahta hai kuchh der aur intezaar karooN

terii yaadoN meiN jagti rahti hun raat bhar
tu gair hai is baat kaa, kaise aitbaar karooN

dil gar aainaa hai meraa, to ask hai tu uska
tere jane k ghum se use kyun tar taar karooN

baitha rahe samne tu aur, tujhko sataun maiN
kaash !ye hasin gunah main baar baar karooN

seeshaa se bhi naazuk hai Dil us kaa " Diya"
maiN pathhar se , kaise us per vaar karooN

29march 2010