Tuesday 11 May 2010

"Aalam-e-tanhaayi kaa, lutf bhi likho na "




kaisi hogii milan kii, vo ghari likho na
mujhse hui thi kaise, dil-lagi likho na

hijr ke dard se liptee hue meri yaadeiN
Aalam-e-tanhaayi kaa, lutf bhi likho na

shab-o-sehar rahtaa hai mera hi khiyaal
ruut khizaan ki lagti hai bahaar si likho na

phool khilata hai aur mehakta hai gulshan
bin tere zindagii meri suni suni likho na

aankhon ko samundar, surat ko chaand
jamaal ki tareef meN, tahreer koi likho na

gar yun duur na hoti Diya ki basti tujhse
deedaar kaise karte tum vo kabhi likho na



9/5/2010