Monday 31 January 2011

"usi ke soch meiN khoya karooN maiN"




...........................
Ummeed_e_deed rakhooN, sapna sanjoya karoo maiN
Dil ko tasalli dun, yaa tut kar roya karoo maiN

Zard raateiN, sard mousam us per tanhai ka alam
aa dard-e-hijr suna ke chain se soya karoo maiN

toote khawaboN ke tukde chubhte hai nigaahoN meiN
prem ke moti kaise, palkoN pe piroya karooN maiN..?

aarzoo hai, tere pahloo meiN sir jhukaa ke rouN
hasauN, satauN, aur tujh meiN samoya karooN maiN

mere girte ashQoN ko gar aasraa ho damaan tera...
badi siddat se, in aankhoN ko bhigoya karooN maiN

uski chahat meiN nasha aur nafrat meiN bhi nasha
duje nashe meiN khud ko kyoN duboya karooN maiN

bhale mohabbat ke baad bhi ho mohabbat usko Diya
dil kahta hai usi ke soch meiN khoya karooN maiN




31jan2011

Friday 7 January 2011

"JahaaN chhu na sake meri yaadoN ki parchhai"




wahaN sajegaa tera sehraa, bajega sehnai
yahaN khub royenge, maiN aur meri tanhai

sitaroN meiN dhundti hun maiN chehra tera
tere hijr meiN kai raateiN, needeiN ganwai

thi hirni si chanchal chulbuli si meri ada
kabhi masti leti thi mujh meiN hii angdai

tha zabt-e-junuu.N, josh-e-junuuN se bada
ya khuda kyuN sajde meN mili mujhko ruswai...?

huaa maloom tab, isi dil se tera kya ristaa
soch ke tujhko, jab meri aankhe bhar aa-ii

zindagi le jaa ab unhein, us sarhad ke paar...
jahaN chhu na sake meri yaadoN ki parchhai

zakhmi umiidoN ka damaN chhor bhi do "Diya"
bichhar chuka hai kabse tera vo rah-numaaii



[zabt-e-junuu.N=self control]
[josh-e-junuu.N=uncontrolled frenzy;

[rah_numaa_ii = guidance/to show the path]



17dec2010

"kuchh bhi nahiN bacha teri aabruu meiN"



ye hausalaa-e-diid dekh tere aarazuu meiN
jaan-e-jaNaa banaaya tujhko justajuu meiN

isi khayaal se bechain hai mere rag-e-dil ....
kaise karooN bayaN haal-e-dil guftguu meiN

yeh tere husN kaa jalwa hai, ya mera vaham
tu hi tuu dikhtaa hai mujhko char-suu meiN

dilke chaman meiN, khila mohabbat ka phool
Mahkti rahe yeh zindagi usi ki khusbuu meiN

kuchh kahne ki jurrat na kar mere jazb-e-dil
aaj be pardaa hone de hume ru-ba-ruu meiN

rukh-e-zindagi se naqab utha kar chal "Diya"
aur, kuchh bhi nahiN bacha teri aabruu meiN



rag-e-dil=nerve of the heart

[hausalaa-e-diid=courage to see/view]

08 sep 2010

"yeh mumkin nahiN, ki dilse bhulaauN tujhe"




"yun to har ghazal mein hota hai zikr uska
magar yeh Haqiqat bhi ab samjhana hai usse"




Munaasib ehi ki, ab gale na lagaauN tujhe
yeh mumkin nahiN, ki dilse bhulaauN tujhe

hai manzil alag, aur raste bhi judaa judaa
jana hai dur tanha, fir kyuN le jaauN tujhe

ta-umr mera hi hai tu yeh tasalli hai dilko
Qissa koi sunaker main, ab na rulaauN tujhe

manga hai kisi aur ne tujhe mannat meiN apni
khafa na hona mujhpe, gar use de-aauN tujhe

teri hi kahlaungi, jab tak hai saanseiN meri
tu hai mera sarmaya, per ye na bataauN tujhe

kash, seene se lagaa ke mujhe vo kahe "Diya"
tu hi meri zindagi, chor ke kahan jaauN tujhe.



30aug 2010