Wednesday 9 February 2011

Zindagi

..............

Tujhse milke hui, apni hasti se door zindagi

tu le aaya mere dar pe mouje-e-noor zindagi

tere dil ko, apnaa dil maana hai jabse maine
tou aagaya hai, khud pe mujhko guroor zindagi

teri khushi se tha gham bada to muskura na saki
mohabbat meiN mujhse hua, yeh kasoor zindagi

dil ko sukoon rooh ko chaiN na aayaa ab talaQ
dekh! halat ne kiya kaise mujhe majboor zindagi

na khyaal hai khud ka, na koi aarzoo ki khabar
teri furkat meiN ho chuki hun be-noor zindagi

beete lamhon ke ehsaas dubara laut aayein to..
fir lout aayega mohabbat ka vo suroor zindagi

hai saheraN se bhi veeran mere dil ki vadiyaN
har kadam mera hai kanto se bhar poor zindagi


09/02/11

"uskaa dil mere saath mere kafaN meiN rahe"






................

vo iskadar mere dilki, madhubaN meiN rahe

jaise zakhmoN ke nishaaN badaN meiN rahe

kabhi aansoo banke kabhi sor-e-nagma banke
us mutareeb se kaho mere anjumaN meiN rahe

narm narm fizaa, khilkhilate phlooN ke sang
uski tan ka khusboo, mere chamaN meiN rahe

uski khayal barsaati hai, mohabbat muj per
vo haseeN khwab banke mere nayaN meiN rahe

chaar chaand lag jatii hai khubsoorti meiN,
saadgi agar, hasino ke pehraN meiN rahe

jis falak per rahooN meiN sitaaraa ban ke
woh mohataab ban ker, usi gagaN meiN rahe

na tooteyga kabhi milan kaa silsila "Diya"
gar Dil uskaa saath mere kafaN meiN rahe

marke bhi na tootey ye dil ka ristaa Diya
uskaa dil mere saath mere kafaN meiN rahe


07/02/11

Friday 4 February 2011

"jaise zindagi gumshuda hai"

......................


Thora pilade jaam saaki, ye dil afsurda hai

mohabbat ne dubaaraa, mera jigar kureda hai

munaasib yehi meraa bharam na tootey kabhi
tujhpe hi to sanam meri rooh or dil fiida hai

ye haal hai meraa ya rab, sar-e-dayar meiN
tham gayi hain saanse par ye jism jinda hai

khalish-e-naaz ka shor kaise sunaaye tujhko
khade hai ru-ba-ru magar darmiyaN parda hai

jis roz nikal fenkii maiN, dil se tamanna teri
jee rahi hun aise, jaise zindagi gumshuda hai

meri haqiQat se muQabil hoke kaha usne Diya
khwahisheiN humesha tere auQaat se jyada hai




afsurda-mujha hua
khalish-e-naaz- hridaya ki pukar
muqabil-samne, sammukh

04/02/11

"kaise, khud badal gayaa mujhko badal ke...? "

................

Nayi libas odh ke naye sanche mein dhal ke
kaise milooN maiN tujhse pehchan badal ke

tujh meiN hi tou basti hai duniyaaN merii
kahaN jauN, ab maiN tere koche se nikal ke

tera aana, mujhse milna fir, yuN chale jana
bikhar jaati hai rait jaise haathon se fisal ke

woh shamma-e-ulfat mere dil meiN jalaa ke
kaise, khud badal gayaa mujhko badal ke...?

jis, bewofa ke shaaN pe tum kahte ho ghazal
woh, humraaz the tumhaare gujre huye kal ke

ba-umeed ka chirag, na bujhega tere jane se
na badlegi "Diya" na badlenge roop ghazal ke


02/02/2011