Wednesday 18 November 2009

silsila tuuta wafa ka to khud tamaam hua

..............................

silsila tuuta wafa ka to khud tamaam hua

meraa yaQeen bewafaaii kaa gulaam hua

ibtida e ulfat ke badle ye naseeb hua
mera kirdaar sar e aam yuN nilaam hua

mujhse bichra jo tu to mujhko bhula baitha hai
tujhe bhula duu , na mujhse ye ek kaam hua

mere habeeb tere iss Qadar huii maiN Qareeb
ho ke badnaam bhi hua to mera naam hua

baghair yaar bhi tanha na the , ye saya tha
mere khudaa ye teraa kaisaa intezaam hua

Diya yaQeen kaa bujhne laga jo unn ke bhii
bas apne rishte ka uss din se raam raam hua


5oct 09

thahar jao sanam haseeN raat baki hai



..................


thahar jao sanam haseeN raat baki hai

rasm-E-muhabbat ki saari baat baki hai

kar diya hai main ne chaahat ka izhaar
tere labooN se ab ye soughaat baki hai

shuru yeh silsila toh ussi roz huaa thaa
kahaa thaa jab tum ne iltifaat baki hai

sulagti hai raateiN meri, sulagte haiN din
Dilbar tere pyaar ki barsaat baki hai

guzar na jayeN kahin ye pal bekhudi ke
suna bhi do ulfat ki jo bisaat baki hai

jalti hai "Diya" tere ishQ ki aatish meiN
aur keh rahe ho tum , shuruwaat baki hai

9th nov 09

Gum tere ishQ kaa sine meN dabaa rakha hai

......................


Gum tere ishQ kaa sine meN dabaa rakha
hai

Makbara dil ko tere gum kaa banaa rakha hai

vo mere saaye sey bhi door rehna chahta hai
duaa meiN jis ke liye haath uthaa rakha hai

bewafai teri mashahoor zamaane meiN na ho
isiliye maiNe teraa naam wafaa rakha hai

laakh chahaa teri yaado'N ko bhulaau lekiN
teri deewaangi Ne chain churaa rakha hai

meri khusiyoN ki mukhtsar umar rakhi, ya rab
mukaddar tu ne mera sab se judaa rakha hai

khud ko andheroN ke saaye se bachane keliye
"Diya" umiid kaa seene meiN jalaa rakha hai


19th oct 09