Friday 8 January 2010

"tum se koi shikwaa yaa gilaa na karenge"

................


tum se koi shikwaa yaa gilaa na karenge
kasam tumhari tumhe ruswaa na karenge

agar maayusi ho hasil is riste se tum ko
tou samne tumhare hum aayaa na karenge

tere talakh lafzon se hon tukre dil ke
zubaaN per uff talak laayaa na karenge

jis chaman meiN mile khaar kii chubhaN
us chaman meiN dubara jayaa na karenge

jab tum hi chupaye apne ghamoN ko humse
hum bhi apne zakhm ko dikhaya na karenge

jee bhar k dekh loon tumhe Qaza se pahle
ab ke baar gaye to fir ,aaya na karenge

22 dec09

1 comment: