Thursday 6 August 2009

Karz teri jafaa kaa main adaa kaise karun

.......

Karz teri jafaa kaa main adaa kaise karun
tu hi bataa tujhse main wafaa kaise karun

jab apnone hi lutaa hai jee bhar ke mujko
maiN gairoN se bhalaa gilaa kaise karun

tujh pe nisaar kiya thaa jism-o-jaan kabhi
ab teri barbaadi kii maiN duaa kaise karun

kahte hai sab tujhe bhulaana hii munaasib
apne hi seeney se Dil ko judaa kaise karun

akele chalne ki aadat na rahii "Diya" ko ab
safar zindagi ka tay tere binaa kaise karun

30 april 09

No comments:

Post a Comment