Thursday 6 August 2009

mujhko jis shakhs se mohabbat hai

..........

mujhko jis shakhs se mohabbat hai
wajood us ka ek Qayaamat hai

kia baataau mai us k baarey meN
saaf dil naik us ki seerat hai

dard meN muskura kay kehta hai
gham uthaanay ki hum ko aadat hai

bakhshay woh sharf e mulaqaat mujhe
mujh pay us shaks ki inaayat hai

na tamanna hai chaand taaron ki
mere dil ki wahi zaroorat hai

Qatal kar kay mujhi say kehta hai
bari zaalim teri yeh fitrat hai

uski chahat meN jee rahi hoo maiN
ye hi chaahat meri ibaadat hai

-Diya

13 july 09

No comments:

Post a Comment