Friday 21 August 2009

karam rab ka hai k duniya meiN meri us sey nisbat hai

MaiN banda-e-khuda hoo mujhko khuda se mohabbat hai
ajal mil jaaye raah e haQ pe bus itni si chaahat hai

teri Qudrat ki jitni bhi kareyi'n tareef wo kam hai
jahaa'N ki khoobsoorti faQat teri mahaarat hai

mohamad ka khuda hi dehar mai sajdey k laaiq hai
zameen o aasmaa'n bhi raat din mehw e ibaadat hai

wo jis ki aayato'n ka nooh ney naghma sunayaa hai
khuda ki shan e qudrat hai khudai ki wazaahat hai

mili paakizgi lafzo'n ko tere naam se moulaa
zikr e parwardigaar se hui rooh ki tahaarat hai

zarra e khaak hoo mahtaab ki tarha chamakta hoo
khudaaye buzrug o bartar ye sab teri inaayat hai

"DIYA" ko dey diya deta raha auQaat se barh kar
karam rab ka hai k duniya meiN meri us sey nisbat hai


ajal-mout,death

maharat-mahir,talent

wazaahat-define karna

aayaton-Quran ke lines

tahaarat-pak

parwardigaar-rab ,god ,khuda

buzrug-rutbe k liye use hua hai


२१/अगस्त 2009

No comments:

Post a Comment